Kyon Aisa Hota Hai ? Ki Bachcha Paida Hone Par Rota Hai,
Kyon Aisa Hota Hai ? Ki Insaan Bhookh Pyaas Lagne Par Rota Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Bachche Ke Paida Hone Par Sab Khushi Manaate Hai,
Sab Jhoom Jhoom Kar Gaate Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Bachcha Bachpan Mein Sab Sach Kehta Hai,
Badaa Hone Par Sirf Jhoot Ko Hi Sach Kehta Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Insaan Ko Kisi Na Kisi Se Pyaar Hota Hai
Woh Saamne Aa Jaata Hai Jiska Barso Se Intezaar Hota Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Ki Har Kisi Ko Woh Pyaar Nahi Milta,
Har Kisi Ko Khushiyon Ka Sansaar Nahi Milta.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Pyaar Naa Paane Par Insaan Rota Hai,
Us Pyaar Ki Khatir Har Khushi Ko Khota Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Hum Dard Mein Hanste Hai, Khushi Mein Rote Hai,
Khokar Bhi Paate Hai, Paakar Bhi Khote Hai,
Hanste Hai Rote Hai Rishtey Sanjote Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Jo Mata Pitaah Humein Pyaar Karte Hai,
Woh Humein Samajh Nahi Paate,
Ya Yeh Keh Sakte Hai,
Ki Unhi Mata Pitaah Ko Hum Samajh Nahi Paate.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Hum Kaanton Ko Phool Samajhte Hai,
Aur Phool Ko Kaante,
Gaali Ko Dulaar Samajhte Hai,
Aur Pyaar Ko Chaante.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Zindgi Bhar Jin Mata Pitaah Ki Chhaaon Mili,
Insaan unko Chhaon dene Waale Ped Ko Kaantataa Hai,
Jo Mata Pitaah Ek Doosre Ke Sath Rahe Unko Ek doosre se Baantataa Hai.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Insaan Dharm Bhoolta, Karm Bhoolta,
Pyaar Ke Jhoolon Ko Thukrakar Noton Ke Jhoole Mein Jhoolta.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Insaan Ka Woh Bachpan, Woh Sachchapan,
In Sabhi Ka Katl Kar Woh Aagey Badh Jaata Hai,
Katl Karta Hai Woh Aatma Ka, Parmatma Ka,
Bhai Ka Behan Ka Pitaah Ka Mata Ka,
Har Us Rishtey Ka Jisey Woh Aashirwaad Maanta Tha Vidhata Ka.
Kyon Aisa Hota Hai ?
Marne Par Aankhein Band Ho Jaati Hai, Dhadkanein Ruk Jaati Hai,
Shareer Bejaan Ho Jaata Hai, Aatma Nikal Jati Hai.
Aakhir Kyon Aisa Hota Hai ?
Insaan Ko Na Chahte Huye Bhi Is Duniya Se Jana Padta Hai,
Aatma Ko Shareer Chhodna Padta Hai,
Sab Kartavya Adhoore Reh Jaate Hai,
Poori Zindgi Ek Pal Ki Maut Mein Badal Jati Hai,
Woh Shareer Mitti Ban Jaata Hai,
Aatma Na Jaane Kahan Ojhal Ho Jaati Hai.
Aakhir Kyon Hota Hai Aisa? Aise Bahut Sawaal Hai,
Kya Aap Jaante Hai Inke Jawaab,
In Sabhi Sawaalon Ke Jawaab Hum Dhoondhne Nikle,
Kisi Ka Mila, Kisi Ka Nahii,
Kisi Ne Dikhaya Aasmaaa, Kisi Ne Dikhaayi Zameee.
"In Sabhi Kaarno Se AAJ Insaan Akela Hai,
Usey Maut Ki Sazaa Milti Hai Itne Katl Karne Par,
Shreer Mati Banta Hai, Mati Ka Karz Chukaane Ko,
Aatma Parmatma Mein Milti Hai Apna Dharm Nibhane Ko,
Ae Insaan Itna Beraham Kaatil Na Ban,
Marne Baad Kahiin, Lakdi Na Miley Jalaane Ko,
Mitti Na Rahe Dafnaane Ko,
Satya Na Rahe Aazmaane Ko,
Rishtey Na Rahe Apnaane Ko.........."
DK Prajapati
No comments:
Post a Comment