phir se wahi manzar tha,
Taarikh wahi thi duniya mein bas,
waqt aur jagah badle they,
Woh nazaara phir se aankhon ke aagey tha,
jo 3 saal pehle in aankhon ne dekha tha,
Yaad aaya phir wohi dard,
yaad aayi wo kadvi yaadein,
Yaad aaya woh GK-1,
jab kaap utha tha tan aur mann,
Aaj bhi saare neta yun,
siyasi bol hi bol rahe hai,
Nahi jaante log yahan par,
kitna dard jhel rahe hai,
Kisi ne khoya apne pitah ko,
kisi ne khoyi mata hai,
Kisi ki khoyi beti yahan par,
kisi ka khoya beta hai,
Aur bahut se logon ne yahan,
apne angon ko khoya hai,
Aaj yahan yeh manzar dekh ke,
bachcha bachcha roya hai,
Par nahi jaanta koi yahan par,
Bharat ne kya kya khoya hai,
Har aise manzar pe ye toh,
bhar bhar aansoon roya hai,
Koi nhi jaanta ye apne andar,
kitna dard samete hai,
Aakhir har aise manzar mein isne ,
khoye apne beti bete hai...........................................
DK Prajapti